3/16/2014

Khushali

Ek thi Khushali

Zindagi ke safar main kuch aise mod aaye,
Jeevan ki karvaton se kabhi hamne chot khaye,
Nirash jo hota tha mann, ye soch kar ummeed paye,
ki ek na ek din, kisi mod par, hum bhi khushali paye.

Rozmarra ke jeevan main to nahi the milansaar hum,
aur waise bhi rahein hai kuch sansargsheel kum,
to pasara bhoojal ki duniya main hamne apna jaal,
par idhar bhi moolya roop se nishfalta hi huwi praapt.

Phir ek din dekhe ek hasta chehra, aur soche,
waah bhaiyya, ye to hai bada sunehra.
Phir kya tha, bhej diye unki profile pe anusmarak prastaav,
teen saptah paschat unki choti behen ne kiya sweekar,
andar se huwe hum kafi prasanna,
aur kuch bechaiyn hoke unke pitaji ko phone lagaye.

Baapuji bole, 'apna profile batao, hum dekh kar batayenge',
aur maine man-hi-man socha, sweekar karte waqt to dekha hi hoga?
Khair, ek aur hafta ruke, aur koi call nahi aaya,
to frustration main hamne swayam call lagaya,
aur bole, 'Uncle, kya huwa, kya aapko hamara prastaav bhaaya?'

Uncle bole, 'Aaj kal hamari sukanya yahi chuttiyan mana rahi hain,
ham unse baat karke tumhe batate hai',
aur phir callback karke unka number hi de diya.

Huwe to ham aur bhi prasann, aur phir kuch aur ghabra kar,
agle hi din khushali ki talash main kanya ko phone lagaya.